Larkiyaan , Desi Shayari
Resource for Larkiyaan , Desi Shayari with jokes, mobiles, MSN Stuff, Gifts, Fashion, Games, Films and Music. Continue for our current list of the Larkiyaan , Desi Shayari.
Larkiyaan
duniya ko ajjab rang dikhati hain larkiyaan
ajj kal ke bachoon ko hathoon per nachati hain larkiyaan
kaproon ki ek dorr si lagti hay jesay
darziyoon ka karobaar chalati hain larkiyaan
make-up ke baghair ye mukammal nahin
chehray pa ek chehra charhati hain larkiyaan
kisi taqreeb may poocho na hall tum un ka
barh charh kar numaaish karwati hain larkiyaan
budhiyoon nay bhi bana rakhkha hay ajab tamasha
baal katwa kar ye bhi kehlati hain larkiyaan
duniya ke har mozoo par ker leti hain baatian
bolne may kab maar khaati hain larkiyaan
dekh dekh kar ek dosaray say hoti hain jealous
taareef kisi ki nahin kar pati hain larkiyaan
tamanna yehi hoti hai ke ho jaaye jald shadi
ronay ka phir darama rachati hain larkiyaan
choti choti batoon per ho jati hain naraaz
magarmach ke aanso bahati hain larkiyaan
lag jaye koi mazloom ager in kay haath
jootoon say fermati hain larkiaan
zar,zan,zameen ka jhagra azal say hai
mazloom ko bhi zaalim banati hain larkian!!!
- Emailed: 4
- Viewed: 737

Tell Your Friend